Naina, tum na hoti toh kya hota?
“Tum samajhte kyu nahi ki agar mein tumhare saath do minutes aur rahi toh...”
“Toh kya Naina?”
“.. toh mujhe tumse pyaar ho jaega, phir se.”
“Aur tumhe nahi hoga, phir se.”
Naina, inn kuch shabdo mein, kuch zakhm hare ho gaye.
Wo adhoora pyaar, chora rishta, sab ubhar gaya. Dil ne ek raah pakad li, ek nahi manzil khoj li. Zidd kar baitha, ki, pyaar karna hi bohat hota hain, kyuki uss shaks ko haasil karna hi sab kuch nahi.
Naina, inn kuch shabdon mein, tumne sikha diya, ki agar wo mohabbat, wo toot ke chaahne waali mohabbat agar kisi se hui hain, toh usse sirf toot ke chaahoge, usse aur uske sapno ko todna nahi chahoge.
Naina, tumne sikha diya, ki aksar khudgarzi bhare pyaar ko pyaar nahi kaha jaa sakta.
Naina, tum nahi hoti, toh kya hota? Kya hota, agar tumne yun pyaar karna na seekha hota.
Shayad, Bunny fir chal padta, udhne, daudne, chalne, girne, magar shayad fir rukne mein kuch aur saal lag jaate, fir yunhi waqt bas chalta rehta, magar saath hi saath lamhe guzar jaate.
Naina, tum nahi hoti, toh kaun seekhata yeh mohabbat, yeh toot ke chaahne wala wo ishq, jo palat ke dekhne ke intezaar mein nahi, kaun seekhata, yeh ishq jo kisi yaar ka nahi, sirf aur sirf tumhara hain.
Kaun seekhata Naina, wo ishq jo kisi ke ishq ka mohtaaj nahi. Wo ishq, jo tha, hain, aur rahega.
Wo ishq, jo tumne kiya tha Bunny se.
Naina, tum na hoti, toh kya wo ishq bhi ishq keh laata. Kya uss ishq ke sadke mein har sir jhuk jaata?
Naina, tum nahi hoti, toh kya ishq ka matlab mujhe itna samajh aata?
Naina, tum na hoti toh kya hota?
Comments
Post a Comment